Dard-e-dil reh reh sataye intezar-e-ishq main,
Ab akele raha na jaye intezar-e-ishq main,
Ab nahi mumkin ki yu hi marte rehna dum-ba-dum,
Ab nahi mumkin ye jina intezar-e-ishq main.
Hum to jeene ka salika seekhte hain maut se,
Ab raha na jaye anpadh intezar-e-ishq main,
Wo hi manzar wo hi chehra ghumta hai aankh main,
Kyun bhula paaye na unko intezar-e-ishq main.
Rehguzar se yu guzaarti sansanati ye hawa,
Khushbu lati hai unhi ki intezar-e-ishq main,
Waqt ki pabandi main rote the hum zaar zaar,
Ashk bhi ruthe se hain ab intezar-e-ishq main.
Kyun shararat phir hai sujhi unko mere waste,
Kyun nahi samjhe wo tadpan intezar-e-ishq main,
Kuchh bahane kuchh fasane kuchh kahi ansuni zuban,
Kaise karen izhar unse intezar-e-ishq main.
No comments:
Post a Comment